Posts

झूम बराबर झूम की समीक्षा

aisa lagta hai ki shad ali ki filmen to ek ke baad ek badi hoti gayin lekin unka ilma usi anupaat mein sikudta gaya hai.SAATHIYA ki taazgi JHOOM BARABAR JHOOM mein sire se gayab hai.JBJ mein naach-gana hai.stars hain.videshi location hain.lak-dak set hai aur chamakdaar costume hai.bas,kahani gayab hai,jabki shad ali ne kahani ko badhane ke liye ANURAG KASHYAP aur TIGMANSHU DHULIA ki madad li hai.teenon hindi filmon ke yuva aur samajhdaar filmkar hain aur milkar aisi kahani likh rahe hain…TAUBA.yashraj films ke banner se aayi yeh lagatar doosri sadharan film hai.film mein ek gana hai jhoom brabar jhoom…use AMITABH BACHCHAN gate hain…jab woh is geet ko gaate hue thirakte hain to aaspaas mein maujood log naachne lagte hain.nishchit hi AMITABH BACHCHAN is geet mein josh bhar dete hain,lekin sirf ek geet ki chashni film ko kitne meetha kar sakti thi.modern kaandeo ke roop mein AMITABH BACHCHAN prem ka alakh jagate hain,lekin film ke mukhya kirdar aur kalakar apni seemaon ke karan bar-bar la...

हिंदी फिल्म इंडस्ट्री में हिंदी

katrina kaif ko hindi nahi aati…upen patel bhi hindi nahi bol pata…so what?hindi filmon ke actor ke liye zaroori nahi hai ki unhe hindi aati hi ho.hrithik roshan bhi hindi padhna-likhna nahi jaante…abhishek bachchan honge hindi ke kavi dr. harivansh rai bachchan ke pote aur super star amitabh bachchan ke bete…lekin hindi bolne mein woh bhi ladkhadane lagte hain.fardeen.zayed khan,dino morea ke bare mein bhi nahi suna ki unhe hindi aati hai.agar heroin ski baat karen to wahan bhi yahi halaat hain.hindi likhne-padhne ke maamle mein sabhi LIKH LODHA PADH PATTHAR hain.hindi film industry ki yeh aisi khoobi hai jis par humen naaz hona chahiye.is film industry mein pair tikaane ke liye hindi ki jaankari zaroori nahi hai.aap kisi star ke bete hain…ya rishtedaar hain…ye unhe kisi bhi karan se pasand hai to hidi mein qualify karne ki zaroorat nahi hai.film ban jaayegi…aapke dialougue koi aur bol dega.sridevi ko hi dekho…unhone kab jaakar apne dialougue apni aawaz mein bole.mamla ulta hai…agar a...

हिंदी में हालीवुड

videshi darshkon aur indian diaspora ko rijhane ki fikr aur jyada kamai ke pher mein export quality ki hindi film bana rahe directors aur producers abhi pareshan nahi hain।unhe lagta hai ki woh bilkul sahi dhang ki films bana rahe hain.globalisation ke is daur mein local subjects aur characters lekar film banana bewkoofi hai.jise dekho woh videsh mein shooting kar raha hai.films ke location hi nahi,ab to characters bhi NRI aur videshi ho gaye hain.yashraj films aur dharma production ki naqal mein doosre producers bhi wohi rasta pakad rahe hai.natija yeh ho raha hai ki hindi ke traditional audience ki taraf kisi ka dhyan nahi hai.maine pahle bhi likha hai ki choonki hindi belt ke audience jyada paise vapas nahi karte isliye producers-directors unki pasand aur ruchi ko nazarandaz kar rahe hain.natija kya hua?*pichle 5 salon mein bhojpuri cinema teji se badha hai.iski wajah kya hai?metros se lekar chote shahron tak mein audience ka bade tabke ke liye hindi films nahi ban rahi hain.woh ais...

तो शुरू करें

यह तो मज़ा आ गया,अब हिंदी में लिखना इतना आसान हो गया है । मैं यहाँ सिनेमा की बात करूंगा । क्या आप फ़िल्में देखते हैं तो आप भी अपनी बात करें.