सोनू निगम/सुभाष के झा

आज YEH TO HONA HI THA.MEDIA KO LIKHE SONU NIGAM KE KHULE PATRA KE BAAD HUI SUBHASH K JHA KI FAJIHAT KE BAAD MEDIA KE LOGON KA EK SWAR MEIN YAHI KAHNA HAI KI ‘YEH TO HONA HI THA.’MEDIA AUR FILM BIRADARI KA RISHTA DOSTI SE JYADA EK-DOOSRE KO SHOW DOWN KARNE KA HO GAYA HAI.MEDIA MEIN KAI JOURNLIST IS GHALATFAHMI MEIN RAHTE AUR JEETE HAIN KI WOH STARS KA CAREER BANATE AUR BIGADTE HAIN.DOOSRI TARAF STARS MEDIA PERSONS KO NEECHI NAZAR SE DEKHTE HAIN AUR MAANTE HAIN KI MEDIA UNKE RAHAM-O-KARAM SE ZINDA HAI.KUCH APVAAD HAIN,JO HAR FIELD MEIN HOTE HAIN.JO HUA…AAGE JO HOGA…USKE LIYE MAINSTREAM MEDIA MEIN CHAL RAHE FILM JOURNALISM AUR USKO BADHAWA DE RAHE FILM PERSONALITIES HI JIMMEDAAR HAIN.AAJKAL NEWSPAPERS AUR MAGAZINES MEIN FILMS AUR USKE CONTENTS AND CRAFTS KE ALAWA BAKI SAARI BAATEN HOTI HAIN.IN DINON SIRF REVIEWS MEIN FILMS KI BAATEN RAHTI HAIN.ENGLISH FILM JOURNALISM KE NATURE AUR US PAR FILM STARS KI MAYOPIC DEPAENDENCE KI WAJAH SE HI SUBHASH KA JHA JAISE PATRAKAAR TAQATWAR HO JAATE HAIN.AFSOS KI BAAT HAI KI BADE FILM STARS UNHE HI QUOTES DETE HAI.FILM STARS NE LANGUAGE JOURNLISM SE TAUBA KAR LI HAI.MJBOORI NA HO TO STARS HINDI,MAARATHI,GUJRATI LANGUAGE KE JOURNALISTS SE MILNA BHI PASAND NAHI KARTE.FOR EXAMPLE,SRK AUR KARAN JOHAR KO HINDI WALON SE KHAS PARHEJ HAI.IN DINO KISI BHI ENGLISH NEWSPAPERS KE FILM COVERAGE KO DEKH LEN.HAR JAGAH STARS AUR UNKI GAIRFILMI BAATEN HAIN.ISKA ASAR ITNA KHATARNAAK AUR BADA HAI KI USE HI BENCHMARK SAMAJH KAR LANGUAGE JOURNALISTS KO BAKWAAS WRITING KE LIYE MAJBOOR KIYA JA RHA HAI.BAZAR ISKE SAMARTHAN MEIN HAI,KYONKI USE STARS KE JARIYE LIFE STYLES AUR PHIR APNE CONSUMER PRODUCTS BECHNE HAIN.BAHAS HO SAKTI HAI KI KYA SONU NIGAM KE OPEN LETTER PAR ITNI BAAT HONI CHAHIYE THI YA SUBHASH K JHA KO KATHGHARE MEIN KHADA KARNA KAHAN TAK UCHIT HAI?STARS KO APNE GIREBAAN MEIN BHI JHANKNA CHAHIYE.FILM JOURNALISM KO CORRUPT KARNE MEIN BIG STARS KE VESTED INTERESTS RAHE HAIN.SABHI JAANTE HAIN KI KAISE ANURAG KASHYAP JAISE YOUNG FILMMAKER KO GIRANE KI MUHIM CHALAYI JAATI HAI.KAISE OMKARA KO GIRAYA JATA HAI.MEDIA PERSONS JYADATAR ISTEMAAL HOTE HAIN AUR KUCH MEDIA PERSONS FILM STARS KA ISTEMAAL KARTE HAIN….KABHI…KABHI…pfc JASE PLATEFORM ITNE KAM HAIN KI FILMS SE RELATED SAARI BAATCHEET NAHI HO PATI.SONU NIGAM AUR SUBHASH K JHA KE PRASANG MEIN HAMEN YEH BHI SOCHNA CHAHIYE KI FILM PERSONALITIES KI KYA RESPONSBILITIES HAI AUR MEDIA PERSONS KI KYA LIMIT HONI CHAHIYE.KYA PRIVATE HAI AUR KYA PUBLIC? IS PAR BHI BAHAS HONI CHAHIYE.CHALTA HAI…HOTA HAI…KYA FARQ PADTA HAI…AAISE ATTITUDES SE HAM IS HALAT MEIN HAIN.AUR NAHI…BAS AUR NAHI.

Comments

Popular posts from this blog

तो शुरू करें

सिनेमालोक : साहित्य से परहेज है हिंदी फिल्मों को

फिल्म समीक्षा: 3 इडियट