कौन हैं ये दीवाने दर्शक?

main PATNA mein hoon.last friday ke pahle se pareshan tha ki is baar review kaise likhoonga.maloom nahi friday ki teenon filmen PATNA mein release hongi ki nahi.aajkal PATNA ke jyadatar cinemagharon mein BHOJPURI filmen hi dikhayi jaati hain.main TIMES OF INDIA dekhta hoon.usmein kisi bhi film ki koi jaankari nahi hai.shayad angrezi akhbaar mein bhojpuri aur hindi filmon ke vigyapan bhi shaan ghatate hon.baharhaal,HINDUSTAN aur DAINIK JAGRAN dekhta hoon.BHOJPURI filmon ke vigyapnon ke beech friday ko release ho rahi teeno filmon ke chhote-chhote vigyapan hain.AAP KA SUROOR sbah 8 baje se dikhyi ja rahi hai.mujhe lagta hai ki distributor ka man rakhne ke liye thetre ne film laga to di hai,lekin darshkon ki naumeedi mein subah se shows rakh diye hain.bhala PATNA mein subah 8 baje film dekhne kaun aayega.ichchha to hoti hai ki main bhi subah 8 ka hi show dekhoon,lekin is dar se nahi jata hoon ki kahin audience ke na aane se show cancel na ho jaaye.main 10 baje ke show ke liye jata hoon.PATNA ke mitra aur film sameekshak VINOD ANUPAM se baat hoti hai.woh bhi saath rahenge,lekin last moment mein unka programme cancle ho jata hai.PATNA ke mashhoor GANDHI MAIDAN ke paas 3 thetre hain.MONA,ELPHISTON aur REGENT.AAP KA SUROOR inme se ek REGENT mein lagi hai.REGENT thetre sadak se thoda andar jaakar hai.muhane se hi bhid nazar aati hai.main box office khoj raha hoon,PATNA mein ise ticket counter aur window bhi kahte hain.window band hai aur uske saamne kareeb 25-30 young ladke khade hain.DC,BC aur STALL sabhi windows par ek jaisi bhid hai.ticket milna mushkil hai.VINOD ne bataya tha ki black mein ticket mil jayega.main blackier ko khojta hoon.lungi aur baniyan pahne moonchon wala ek pahlwan kism ka aadmi BC 70 mein aur DC 80 mein chilla raha hai.main windows ki taraf dekhta hoon.BC 30 aur DC 40 likha hai.main blackier se DC ka ticket lekar poochta hoon KAHE BHAIYA BLACK MEIN ETNA JADA PAISA KAHE LE RAHE HAIN? woh ek baar meri tarf dekhta hai aur kahta hai isme snakes(snacks) bhi hai na.woh ticket deta hai,jo kisi lottery ticket ki tarah lagta hai.main us par tareekh aur show ka samay aur seat no dekhta hoon.8 baje ka show abhi khatm nahi hua hai.thodi der hai show chaloo hone mein.bahar darshkon ka rela badhta ja raha hai.lohe ke mote-mote grill lage hain.log kataron mein khaden hain.kaise log kahte hain ki BIHARI niyam-kanoon nahi jante?main bhi khada ho jata hoon.poori katar mein meri umra ka koi nahi hai.14 se 20 saal ke ladke hain.lagbhag 25% ladkon ne topi pahan rakhi hai.ye ladke zaroor HIMESH RESHMIYA ke fans hain.gate khulte hi main katar ke saath andar pahunch jata hoon.DC ka mark dekhte hur seedhiyan chadhta hoon aur aise hi ek seat par baith jata hoon.sach kahoon main apna seat no nahi padh paya tha.film shuru ho chuki hai,darshak andar aa rahe hain.sabhi apni seat par jaane ki hadbadi main hai.ek ladka mera ticket dekh kar mujhe apni seat tak le jata hai.pahla gana ASALAM WALE KUM shuru ho gaya hai aur poora hall ga rahai.himesh ki awaz dab gayi hai.HIMESH ka chehra dekhte hi ek saath seetiyan bajti hain.maine aisi hi deewngi SIVAJI-THE BOSS mein dekhi thi.mumbai ke ek multiplex mein tamil audience kae saath SIVAJI-THE BOSS dekhte hue mera critical maind so gaya tha.yahn bhi waisa asar ho raha hai.KAUN HAIN YE DEEWANE DARSHAK?main samajh nahi pa raha hoon ki himesh ka ais asara kaise hua hoga?PATNA ke semilitrate darshkon ko HR ke baare mein kaise maloom hua hoga?mujhe ehsaas hota hai ki AAP KA SUROOR hit ho sakti hai.main PTNA ke young darshkon ke saath film ka anand leta hoon.is sadharan film ko dekhte hue sochta hoon ki kya aise darshkon ke baare mein film critic kabhi sochte hain? hall poora bhara hai aur sabh khush hain.aisa lagta hai ki poora hall ek community ban gayi hai aur wo community ek saath film ka anand le rahi hai.bade shahron mein ham film dekhte samay apne reaction mein loud nahi hote.ham khul kar hanste bhi nahi.PATNA ke yeh darshak poori masti mein hain.film ka suroor unke upar tari hai.main film dekhne ke baad usi suroor mein review likhta hoon.mumbai phone karta hoon.ek dost se poochta hoon ki teenon filmen kaisa business kar rahi hain.pata chalta hai ki HIMESH RESHMIYA ki film ne sabhi ko peeche chod diya hai.main chakit hoon ki kya poore desh ke darshak ek tarah se react karte hain?phir hamare trade analyst aur critic kyon desi darshkon ko nazarandaz karte hain?

Comments

Popular posts from this blog

तो शुरू करें

सिनेमालोक : साहित्य से परहेज है हिंदी फिल्मों को

फिल्म समीक्षा: 3 इडियट