झूम बराबर झूम की समीक्षा

aisa lagta hai ki shad ali ki filmen to ek ke baad ek badi hoti gayin lekin unka ilma usi anupaat mein sikudta gaya hai.SAATHIYA ki taazgi JHOOM BARABAR JHOOM mein sire se gayab hai.JBJ mein naach-gana hai.stars hain.videshi location hain.lak-dak set hai aur chamakdaar costume hai.bas,kahani gayab hai,jabki shad ali ne kahani ko badhane ke liye ANURAG KASHYAP aur TIGMANSHU DHULIA ki madad li hai.teenon hindi filmon ke yuva aur samajhdaar filmkar hain aur milkar aisi kahani likh rahe hain…TAUBA.yashraj films ke banner se aayi yeh lagatar doosri sadharan film hai.film mein ek gana hai jhoom brabar jhoom…use AMITABH BACHCHAN gate hain…jab woh is geet ko gaate hue thirakte hain to aaspaas mein maujood log naachne lagte hain.nishchit hi AMITABH BACHCHAN is geet mein josh bhar dete hain,lekin sirf ek geet ki chashni film ko kitne meetha kar sakti thi.modern kaandeo ke roop mein AMITABH BACHCHAN prem ka alakh jagate hain,lekin film ke mukhya kirdar aur kalakar apni seemaon ke karan bar-bar ladkhadate hain.apne dost aur rishtedar ke intezar mein london ke ek station par takraye ricky thukral aur alvira khan ek-doosre ko jahansa dene ke liye apne-apne prem ki jhoothi kahani gadhte hain.inteza ke un do ghanton mein hi woh ek-doosre ko chahne lagta hain.baad mein apne mangadhant jhooth ko todne ke liye unhe ek aur jhooth ka sahara lena padta hai.shad ali do kirdaar aur kuch prasngon ko lekar naach-gaane se bhari kahani ka tana-bana taiyaar kiya hai.yeh tana-bana itna kamjor hai ki ANURAG KASHYAP aur TIGMANSHU DHULIYA se madad lene ke bawjood kahani bun nahi paati.kya is baar bhi ANURAG KASHYAP maafi mangege?jbj mein geeton ka filmankan achchha lagta hai.agar unhe music video ke roop mein alag-alag dekhen ya film ke gaane disco ya party mein bajaayen to jhhmne ka man karega.gulzar ke anokhe bol shankae ehsaan loy ka madhur sangit hi film ko sambhal paate hain.gulzar in dino os mein mint ki taazgi milakar geet likh rahe hain.waqt ki maang gulzar ko kahan se kahan le aayi hai?abhinay ke lihaj se charon yuva kalakaron mein LARA DATTA baji marti hain.anaida aur laila dono hi roopon mein woh charitra mein dhalti hain.ABHISHEK BACHCHAN mehnat kar rahe hain.kai baar woh ricky thukral ke kirdar se chitak jaate hain.peity zinta ke kuch bure performance mein se ek hai JBJ.bobby deol nritya mein ramte hain,lekin abhinay ki sanjidgi unmein thodi kam hai.yashraj films ki shad ali nirdeshit JBJ nirash karti hai.bharpoor sansadhnon,pratibhaon aur suvidhaon ke bawjood is sadharn film ke liye kisi ek ko doshi nahi thahraya ja sakta,leki chamtakaar samjhe ja rahe ADITYA CHOPRA ki soch aur packajing to kathghare mein aa hi jati hai.aakhirkar film marketting,munafa aur manoranjan matra nahi hai…darshak kuch aur bhi chahte hain

Comments

Anonymous said…
Your blog keeps getting better and better! Your older articles are not as good as newer ones you have a lot more creativity and originality now keep it up!
Anonymous said…
Photo gallery at WallpaperHungama.in is dedicated to Katrina Kaif Pictures. Click on the thumbnails for enlarged Katrina Kaif pictures, personal photographs and exclusive photos. Also check out other Pictures Gallery for High quality and High Resolution image scans, movie captures, movie promos, wallpapers, hollywood & bollywood pictures, photos of actresses and celebrities.
Anonymous said…
This really solved my problem, thank you!

Popular posts from this blog

तो शुरू करें

फिल्म समीक्षा: 3 इडियट

सिनेमालोक : साहित्य से परहेज है हिंदी फिल्मों को