हिंदी में हालीवुड
videshi darshkon aur indian diaspora ko rijhane ki fikr aur jyada kamai ke pher mein export quality ki hindi film bana rahe directors aur producers abhi pareshan nahi hain।unhe lagta hai ki woh bilkul sahi dhang ki films bana rahe hain.globalisation ke is daur mein local subjects aur characters lekar film banana bewkoofi hai.jise dekho woh videsh mein shooting kar raha hai.films ke location hi nahi,ab to characters bhi NRI aur videshi ho gaye hain.yashraj films aur dharma production ki naqal mein doosre producers bhi wohi rasta pakad rahe hai.natija yeh ho raha hai ki hindi ke traditional audience ki taraf kisi ka dhyan nahi hai.maine pahle bhi likha hai ki choonki hindi belt ke audience jyada paise vapas nahi karte isliye producers-directors unki pasand aur ruchi ko nazarandaz kar rahe hain.natija kya hua?*pichle 5 salon mein bhojpuri cinema teji se badha hai.iski wajah kya hai?metros se lekar chote shahron tak mein audience ka bade tabke ke liye hindi films nahi ban rahi hain.woh aisi films se identify nahi karta,isliye dekhta bhi nahi hai.lekin use apna cinema chahiye,jismein uske parichit ethos aur emotions hon.use bhojpuri mein yeh mila.*percept aur sony picture ne bhojpuri audience ko dimag mein rakh kar ise hindi ke saath hi bhojpuri mein dub kiya.reports aa rahi hai spiderman-3 ne MAKDA MANAV ke roop mein achchhi kamai ki.suna hai ki aur bhi hollywood ki filmen bhojpuri mein dub ho rahi hain.MAKDA MANAV ko bhojpuri ke suer star RAVI KISSEN ne dub kiya aur bhojpuri audience se jod diya.*yeh KHATRE KI GHANTI hai,lekin hindi producers-directors nahi sun rahe hain.yakeen karen,agar jaldi hi hinterland ke audience ki taraf dhyan nahi diya gaya to baad mein unhe hindi filmon ki taraf lana mushkil hoga.*bhojpuri aur ab bhojpri mein hollywood ki filmen hindi ki hi kamai se apna hissa jhapat rahi hain.trade ke jankar bata sakte hain ki hindi belt se hindi filmon ki kamai kaise ghat rahi hai.*idhar koi bhi hindi film(vivah apwad hai) aisi nahi aayi hai,jisne hindi belt mein business kiya ho.*in dino hindi filmon ke poster par bhi hindi mein films ke naam nahi likhe jaate.audience kaise jaane ki kaun si film hai.woh star dekh kar anumaan lagata hai.KRISH ki release ke samay chhattisgadh ke distributor ne rakesh roshan ko bataya tha ki hindi mein poster nahi denge to aap ka hi nuksaan hoga.woh samjh gaye the.jyadatar producers ko hindi mein titles dena faltu kharch lagta hai.*Bharat ke audience abhi tak hindi ya kisi aur national language mein hi films dekhna pasand karte hain.aisa isliye hai ki woh apni bhasha mein hi manoranjan chahte hain.*agar indian audience angrezi samajh rahi hoti to saare munafakhor producers angrezi meinhi films bana rahe hote.MAIN CHAHOONGA KI PASSION FOR CINEMA KE MEMBERS AUR VISITORS IS BAARE MEIN KUCH LIKHEN AUR SHARE KAREN.
-->
Comments
-->
Comments
Comments